Nasha pila ke girana to sabko aata hai
maza toh tab hai ki girton ko thaam le saaqi
Haqeeqat Kharafat Mein Kho Gayi
Yeh Umat Rawayaat Mein Kho Gayi
Batil se dabne wale aaye aasmaan nahi hum,
sau baar kar chuka hai tu imtehaan humara
Sajde khaliq ko bhi, iblis se yaraana bhi
Hashr mein kis se aqeedat ka silah mangega?
Khudi ko kar buland itna ke har taqder se pehle
Khuda bande se khud pooche bata teri raza kya hai