Hum Ne To Mohobbat Chord Di Lekin,
Mohobbat Ne Humain Kahi Ka Na Chora
Meri Khwahish Hai Meri Shayari Ko Tum Samjho
Ye Aarzu Nahi Ke Log Waah Waah Karein
Hum to be-panah Mohabbat kar ke bhi haar gaye,
Aur tumhe kisi ki khush naseeb kismat ne jeet liya
Na jane kya masumiyat thi us k chehre par,,
usko manane se zyAda uska ruth jana accha Laga
gham akelepan ka mitta to nahi,
par aane wali khushi ka ehsaas to hota hai.
Teri Yaadon ke Siva koi Lamha Guzaara Nahin,,
ek pal Nahin jab Tumhe Mere Dil Ne Pukara Nahin
Tere bin Youn Kat Rahi Dariya-e-Zindagi Mein,
Kashti Bhi Hai Maajhi bhi hai,Kinaara Nahin.
kyon raat din rote ho uske liye
jo na tha tumhara ek pal ke liye
ashkon se kaho, ab tham bhi jaye
main hun tumhari, tumhe jeena hai mere liye
kafan na dalo mere chere par mujhe aadat hai muskurane ki,
na dafanao meri laash ko mujhe abhi umeed hai meri mehbooba ke aane ki
Zakhm itne gehre hain, izhaar kya karein,
Hum khud nishana ban gaye, waar kya karein,
Mar gaye hum, magar khuli rahi aankhein,
Ab is se zyada unka, intezaar kya karein
zazbaato k ‘khel me ‘mohabbat’ ka ‘saboot’ na maango mujhse ….
maine wo ‘aansu’ bhi ‘bahaaye’ hai jo meri ‘aankho’ me na thee”
Ab Kahan Zarurat Hai Hatho Me Patthar Uthane Ki,
Todne Wale To, DIL Zubaan Se Hi Tod Diya Karte Hai !
Bedard kuchh Dost ho gaye hain Humare,
Jo Humara intezar nahin karte.
Kbhi Humein Hzaaron message kiya karte the,
Ab to Yaad bhi nahi karte.
Dard me koi mausam pyara nahi hota,
Dil ho pyasa to pani se gujara nahi hota.
Koi dekhe to humari bebsi,
Hum sabhi k ho jate hain
Par koi humara nhi hota.
Nice post…
मैं आपके बारे में सिर्फ़ इतना ही कहना चाहूँगी की आपकी लेखन कला काफ़ी उत्कृष्ट है जो कि इस शायरी से झलकती है| आप बस ऐसे ही लिखते रहे और हम यहाँ बार-बार आते रहेंगें|
धन्यवाद!