Likhne toh mai
Part 1 / Part 5
Yaadein – Bachpan

Ki tumhe tumhara bachpan yaad aa jaye
Wo der tak Sona
Wo Khuwabo m Khona
Har bar zid puri karwane rona
Wo sardi ki sham ka mausam yaad aa jaye.
Likhne toh mai kuch aisa likh du
Part 2 / Part 5
Yaadein – Jawani

Ki tumhe tumhari jawani yaad aa jaye
Wo Josh m hona
Wo Josh ko Khona
Har baat ko apni tarike se samjhna
Wo unkahi kahani yaad aa jaye.
Likhne toh mai kuch aisa likh du
Part 3 / Part 5
Yaadein – Mohabbat

Ki tumhe tumhari pheli mohabat yaad aa jaye
Usse baate Karna
Bina Matlab Mulakate Karna
Ya kuch ajeeb se mehsus Karna
Wo pyari musibat yaad aa jaye.
Likhne toh mai kuch aisa likh du
Part 4 / Part 5
Yaadein – Kamyabi

Ki tumhe tumhari kamyabi yaad aa jaye
Wo har kadam ladhna
Wo ladhkar aage badhna
Ya hamesha musrukana
Wo jeet ke phle ki haar bhi yaad aa jaye.
Likhne toh mai kuch aisa likh du
Part 4 / Part 5
Yaadein – Kal

Ki tumhe tumhara guzara hua kal yaad aa jaye
Wo sote waqt galtiya yaad Karna
Wo rote waqt galtiya yaad Karna
Ya sochte sochte hi raat Karna
Wo kal ko satata pal yaad aa jaye.
Likhne toh mai kuch aisa likh du
For Home Page Click Here :- https://www.shayariexpress.in/
Follow Author on Instagram :- https://www.instagram.com/a_tawaf_khan/
#no_one_no_1 #writingprompts #writingcommunity #writethelife #writersofinstagram
#bachpan #mausam #jawani #kahani #mohabat #musibat #kamiyabi #haar_bhi #pal #kal