Kon Rakkhega Hamein yaad

Kon Rakkhega Hamein yaad is daur-e-khudgarzi mein
Halaat to Aise Hain ki log’on ko Khuda yaad Nahi
Hum Kon Hain Kya Hain bakhuda yaad Nahi
Apne islaaf ki koi Bhi Ada yaad Nahi
Hai Agar yaad to kaafir ke tarane Bas
Hai Agar Nahi yaad to Masjid Ki Sada yaad Nahi
Binte-Hawwa ko nachate Hain Sar-e-aam mehfil mein
Kitne sang Dil Hain ki rasam-e-haya yaad Nahi
Aaj apni zillat ka sabab yahi hai shayad
Sab kuch yaad hai Magar Khuda yaad Nahi.

 

Manzil se aage badh kar, manzil talash kar,
Mil jaye tujhko dariya, samundar talaash kar.
Har sheesha toot jaata hai pathar ki chot se,
Pathar hi toot jaye, wo sheesha talaash kar
Sajdon se tera kya hwa, Sadiyan guzar gyi,
Duniya teri badal de Wo sajda talaash kar…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *