Romantic Shayari ~ Hindi Shayari

romantic shayari hindi shayari shayari express

Ek vaada tha tere har vade k piche,
TU milega mujhe har darwaze k piche,
Par TU mujhe ruswa kar gaya,
Ek TU hi na tha mere janaze k piche.  

Ek vaada tha mera har vaade k piche,
Mai milunga tujhe har darwaze k piche,
Par tune hi mud ke na dekha,
Ek aur janaza tha tere janaze k piche…

Zindagi mein baatein bahut kar liye…
Sun liye hai zawab bhi…kabhi Dosto se, Kabhi Dushmano se,
Lavso ke is bhir mein ghutan si hoti hai ab to….
Mujhe sannata chahiye….. …
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye…..
Baaton ki tanashahi bardasht karne ki taaqat na rahi……..
Viraane mein sar chupane ki jagah chahiye….. ….
Alfaazon ki koi matlab hi nahi milta……. .
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye…..
Rahegi tamannaye, tamannaye to rahti hai…….
Par halaat yeh hai ki ab saare Hosh’o’Hawas kho chuke……. .
Is Bedardi ko kab tak jhel sakti hai yeh Dil’o’Dimaag……
Armaano se tang aa chuke hai hum bhi……
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye…..
Musquraahaton se roshan hoti rahegi yeh Duniya…… ..
ujhe roshniyon se dar lagne laga hai……
Mujhe Andhera Chahiye…..
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye…

Shaam se aaj saans bhari hai
Be qarari hai be qarari hai
Aap ke baad her ghari hum ne
Aap ke saath hi guzari hai
Raat ko de do chandani ki rida
Din ki chaadar abhi utari hai
Kal ka her waqia tumhara tha
Aaj ki dastan hamari hai.

Tum the ke thi koyi ujli kiran
Tum the ya koyi kali muskaayi thi
Tum the ya tha sapnon ka tha saawan
Tum the ke khushiyon ki ghata chhaayi thi
Tum the ke tha koyi phool khila
Tum the ya mila tha mujhe naya jahaan
Do pal ruka khwaabon ka kaarvaan
Aur phir chal diye tum kahaan ham kahaan
Do pal ki thi, ye dilon ki daastaan
Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan
Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan

Mera kya tha tere hisaab mein,mera saans saans udhar tha
Jo guzar gaya wo to waqt tha,jo bacha raha wo ghubbar tha
Teri aarzoo mein ure ti the,chund khushk patte channar ke
Jo hawa ke dosh se gir para,un mein aik yeh khaksar
Wo udas udas ik shaam thi,ik chehra tha ik charagh tha
Aur kuch nahi tha zammen per,ik aasman ka ghubaar tha
Bare sufion se khayal the,aur biyan bhi us ka kamal tha
Kaha meine kab ke wali tha wo,ik shakhs tha badda khar tha.

Sehma sehma darra sa rehta hai
Jane kyun ji bhara sa rehte hai
Kaai si jum gai hai aankhon per
Sara manzar harra sa rehta hai
ek pal dekh loon tu uthta hoon
Jal gaya sab zara sa rehta hai
Ishq mein aur kuch nahi hota
Aadmi bawra sa rehta hai

Naam soch hi na tha hai ke nahi
Amman keh ke bulaya aik ne
Ae jee keh ke bulaya dooje ne
Abe o yaar log kehte hain
Jo bhi jis ke jee aaiya
Us ne waise hi bus pukaar liya
Tum ne ik mod per acanak jab
Mujhe ko “GULZAR” keh ke di awaz
Ek seepi se khul gaya motie
Mujh ko muaani mil gaya jaise.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *