Ek teri hi khwaish hai…
Kainaat maangi kisne hai?
Lagta hai meri neend ka kisi k saath chakkar chal raha hai…
Ab ki baar ek ajeeb si khwaish jagi hai…
Koi mujhe tuth kar chaahe aur mai bewafa niklu.
Wo jise samajhti thi zindagi, meri dhadkano ka fareb tha…
Mujhe muskurana sikha ke, wo meri ruhh tak rula gayi.
Azaad kar diya hai humne uss panchi ko…
Jo hamari dil ki kaid me rehne ko toh-heen samajhta tha.
Hamara zikhra chohdo, hum aise log hai jinhe…
Nafrat kuch nahi karti, mohabbat maar deti hai.
Bana do wajir mujhe ishq ka duniya ka doston…
Har bewafa ko saza-ae-maut dunga.
Der tak seene pe mere sir rakh kar tum royi thi…
“Mere bina… kya jee logi?” Bas itna hi pucha tha.
Dil se pucho toh ab bhi tum meri hi ho…
Ye aur baat hai ki kismat dhoka de gayi.
Zindagi bhi ajeeb modh par le aayi hai mujhe…
Tum chup ho mujhse aur mai chup hu sabse.
Dil me tadap, aakho me aansu…
Kya isi ka naam judai hai doston.
Teri talaash me niklu toh bhi kya fayda…
Tum badal gaye ho…
Kho gaye hote toh aur baat thi.