Silsila (Movie) Shayari ~ Hindi Shayari

mohabbat shayari silsila shayari hindi shayari shayari express

Main aur meri tanhayi, aksar yeh baatein karte hai … tum 
hoti toh kaisa hota … tum yeh kehti, tum woh kehti, tum is 
baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hasti … tum hoti 
toh aaisa hota, tum hoti toh waisa hota … main aur meri 
tanhayi, aksar yeh baatein karte hai


Majboor yeh halaat idhar bhi hai udhar bhi, tanhai ki ek
raat idhar bhi hai udhar bhi … kehne ko bahut kuch hai 
magar kisse kahe hum, kab tak yunhi khamosh rahe aur 
sahe hum … dil kehta hai duniya ki har ek rasam utha dein, 
deewar joh hum dono mein hai aaj gira dein … kyun dil 
mein sulaghte rahe, logon ko bata dein … haan humko 
mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat

Yaadon ke jharokhon mein beeti hui baaton ko … ukdhi hui 
saanson mein kuch lamhon ke raazon ko … pyar ki 
shabnam mein unsune geeton ko … sunsaan si rahon mein 
bhoole hue vaadon ko … kaise koi yaad kare, kaise koi 
yaad kare … khamosh sadaaon mein sapnon bhari raaton 
ko … bheege hue mausam mein sarke hue aanchal ko … 
moondi hui aankhon mein dhadakte nainon ko … adh-
khule hoton mein pritam ke chumman ko … kaise koi yaad 
kare, kaise koi yaad kare

Haadsa banke koi khwaab bhikar jaye toh kya ho … waqt 
jazbaat ko tabdeel nahi kar sakta … door ho jaane se 
ehsaas nahi mar sakta … yeh mohabbat hai dilon ka rishta 
… aaisa rishta joh zameenon ki tarah sarhadon mein kabhi 
taqseem nahi ho sakta … tu kisi aur ki raaton ka haseen 
chand sahi … meri duniya ke har rang mein shamil tu hai 
… tujhse roshan hai mere khwaab, meri umeedein … main 
kisi raah se guzron, meri manzil tu hai

Tumhara intezar na karte hue bhi har modh par tumhara
intezar kiya … tumhari umeed na rakhte hue bhi maine har 
kadam par tumhari tamanna ki … tumhe na chahte hue bhi 
maine tumhe itna chaha ki kisi aur ko chahne ki aarzoo bhi 
na rahi

Yeh raat hai ya tumhari zulfein khuli hui hai … hai chandni 
ya tumhari nazaron se meri raatein dhuli hui hai … yeh 
chand hai ya tumhara kangan, sitaren hai ya tumhara 
aanchal … hawa ka jhaunka hai ya tumhare badan ki 
khushboo … yeh pattiyon ki hai sarsarahat ki tumne 
chupke se kuch kaha hai … yeh soochta hoon main kabse 
gumsum, ki jabki mujhko bhi yeh khabar hai ki tum nahi 
ho, kahin nahi ho … magar yeh dil hai ki keh raha hai ki 
tum yahin ho, yahin kahin ho

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *