Roth Jate Ho To Kuch Aur Haseen Lagte Ho
Hum Ne Ye Soch Ke Hi Tum Ko Khafa Rakha Hai.
Faasla itna badhane ki Zarorat kya thi
Tujhe mujhse rooth jane ki zaroorat kya thi
Ab jo mujhse rooth k udaas rehte ho
Apna haath Mujhse churhane ki zaroorat kyaa thi
Duniya kab kisi ke gam ko apna gam samajhti hai
Tujhe apna gam duniya ko dikhane ki zaroorat kya thi
Main aaj tak is baat ko samajh nahi paaya
Jab main saath tumhare tha,
to tumhe zamane ki zaroorat kya thi.
Dil Tod Kar Hamara Tumko Rahat B Na Milegi
Hamare Jaisi Tumko Chaht B Na Milegi.
Yu Itni Berukhi Na Dikhlaiye,
Hum Agar Ruthe To Hamari Aahat B Na Milegi.
Apne Dil Ki Sunn, Afwahon Se Kaam Na Le,
Mujhe Yad Rakh, Beshak Naam Na Le,
Tera Veham Hai Ke Hum Bhool Gaye Tujhe,
Meri Koi Aisi Saans Nahi Jo Tera Naam Na Le!
Sab se chupa kar dard, jo woh muskura diya
Uski hansi ne to aaj mujhe rula diya..
Jaane kya usko logo se thi shikayatein
Tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya..
Khud bhi woh hum se bichad kar adhura sa ho gaya
Mujh ko bhi itne logo mein tanha bana diya..
Dil Ko Aata Hai Jab Bhi Khyal Unka,
Tasvir Se Puchte Hain Fir Haal Unka,
Wo Kabhi Humse Pucha Karte The Judai Kya Hai,
Aaj Samajh Aaya Hai Hume Sawal Unka.
Ho Judai Ka Sabab Kuch Bhi Magar,
Hum Use Apni Khata Kehte Hain,
Woh Ton Saanson Mein Dhali Hai Mere,
Jaane Kyun Log Use Mujhse Juda Kehte Hain.
Yaad ro-ro ke teri satati rahi,
Aag judai ki dil ko jalati rahi..
Aandhiyan jab guzarti rahi baagh se,
Shakh-e-gul apne sar ko jhukaati rahi…!
Apni mohabbat ki nakamiyan kya kahun,
Khwaish-e-ishq har kadam mujhe rulati rahi..
Woh doosron se has has ke milte rahe,
Meri hi bad’kismati ashq bahati rahi…!
Hum wafa jinse karte rahe umar bhar,
Hum pe unki jafa muskurati rahi..
Shayad kasoor meri mohabbat ka hi hai,
Jo sab sehkar bhi unhe chahati rahi…!
Kaisi ajeeb ye tujhse Judai thi,
Ki tujhe alvida bhi na keh saka,
Teri saadgi mai itna fareb tha,
Ki tujhe bewafa bhi na keh sake.
angadai par angadai leti hai raat judai ki
tum kya samajho tum kya jano bat meri tanahai ki
kon siyahi ghol raha tha waqt ki behte dariya mein
main ne aankh jhuki dekhi hai aj kisi harajai ki
vasl ki raat na jane q israr tha unko jane par
waqt se pahale dub gae taron ne badi danai ki
udate udate aas ka panchi dur ufaq mein dub gaya
rote rote baith gai aavaz kisi saudai ki