Ishq ne Gaalib nikamma kar dia,
warna aadmi to hum bhi kaam k the.
Bujh jaate h diye kabhi tel ki kami se bhi,
har baar kusoor hawaa ke jhonko ka nahi hota.
Raaste kahan khatam hote hai zindagi k safar me,
manzil to wahi hai jaha khwahishein khatam ho jaaye.
Hazaaron aib dekhte h hum dusro k pehlu me,
apne kirdaar me hum farishte ho jaise.
Haathon ki lakeero pe mat jaa ae Ghalib,
kismat unki b hoti hai jinke haath nahi hote..
Kitna khauf hota h shaam k andheron me,
pooch un parindon se jin k ghar nhi hote.
Kuch iss tarah mene zindagi ko aasaan kar liya,
kisi se maafi maang li,
kisi ko maaf kar diya.