BEWAFA SHAYARI ~ HINDI SHAYARI

BEWAFA SHAYARI HINDI SHAYARI SHAYARI EXPRESS


Aaj ke mausam ke badalte mijaaz pe mera kuch u kehna hai ke:
Tabdeeli jab bhi aati hai mausam ki adaao mein,
kisi ka yu hi badal jana bahut yaad aata hai.

Aap samjhe na samjhe mere jazbaat ko,
hume to manna padega aap ki har baat ko,
hum to chale jaeyenge aap ki dunia chod kar,
magar dekhna aap royenge akele har Din har Raat ko.


Aasmaan ke taare aksar pucha karte hain,
kya tumhe ab bhi intezar hain uske laut aane ka?
aur dil muskura ke kehta hain..
mujhe to ab bhi yakeen nahi usk bewafa k jaaney ka!

Aitbaar nahi karta main kisi par,
har shaks yahaan farebi hain..
Yakin hain mujhe apni tanhai par,
jisne mujhe kabhi tanha nahi chhoda..!!

Ankhe kyon hui meri num kabhi sochna,
kyon hua hum pe itna sitam kabhi sochna,
pyar to hum dono ne kiya tha,
lekin sirf mujhe he kyon mila itna gum kabhi sochna.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *